Saturday, March 24, 2012

Faaslein

Faaslon se rabt mein shigaaf nahi padtein...
Ufuq ko bahr se judaa kehta hai koi?

Tezgaam

Munjamid hai kadam mere, aur tezgaam zehan hai...
Jaana kahin nahi, bas tasawwur ko jaldi hai!!

Friday, March 23, 2012

Muntazir

Muntazir hoon, intezaar ka hoonar mujh mein hai...
Yeh khamoshi be-sabar hai, aur bahot sabar mujh mein hai..

Tanha kiya hai safar baarahaa, kaee safar aur mujh mein hai...
Maana hai ummeed soyee, par ek aur sehar mujh mein hai...

Thursday, March 22, 2012

Bandish

Kar de rihaah teri bandisho se....Jaane bhi de mujhko...
Teri zill se door jau, toh shayad sukun milein!

Najaat paoon teri naapaaedaar rawishon se...Maat khane de mujhko...
Teri wafaaon se haar jaau toh shayad zafar milein!

Wednesday, March 21, 2012

Sabab

Tum nahi thay toh fizhool hi zaaya ho rahi thi zindagi...
Tum aaye toh iss weeraangi ko wajah toh mili!!!

Tuesday, March 20, 2012

Tasleem

Woh mujhko kaafir kehte hai kis moojib pe pata nahi, Jabki mere sajdeh unki ibaadat se kam adaa nahi,........

Woh jiske aage jhukte hai woh mera khuda nahi, Aur jis yaar ke aage main jhukta hoon woh mere khuda se juda nahi!!!

Monday, March 19, 2012

Sood-o-ziyaan

Main nahi jaanta teri justujoo kya hai, kya iraadah hai tera,
Na Yaqeen koi....na waada koi tera...

Lagaye daanv koi waade pe tere toh kis bunyaad pe?...
Na hai kam sood-o-ziyaan mera, Na ziyaada koi tera...

Friday, March 16, 2012

Zikr

Kya, hota hoga zikr hamara unki bazm mein kabhi,
Taareef na karte ho, toh tanz hi sahi.....
Humne maana hamari hastee qaabil-e-zikr nahi,
Hum itne bhi buray nahi ke na yaad kare koi!!!