Ho jaane de phir se baarishein,
ke pichli baar kuch kam hi roye they hum...
Kuch der aur yeh barq lehrane de,
ke jab tu mudi thi toh teri jhuki aankhein dekh nahi paaye they...
Garajne de in badalon ko aur,
ke teri hasi ka sabab ab koi aur hoga...
Ho jaane de aur baarishein,
Bheeg jaane de mujhey!
-Saideep!