Raa'egan hai in saanson ka, dhadkano ka, hasee ka hona...
In ke rukne ka, chalne ka, hone ka sabab bhi toh koi nahi!
Na thaame, na pukaare, na yaad kare koi...
Toh ab rukne ka, mudne ka, theher jaane ka sabab bhi toh koi nahi!
Jaane wale laut aye bhi muqarrar maqaam par toh kya?
Ab wahaan baithey raah dekhta bhi toh nahi koi!
- Saideep!