
Muaffi chahta hoon...Lafzon ki Tukbandi ko Shayari kehne ki himaakat ke liye..
Arz hai........
Dehleez
“Zindagi fir uss dehleez par le aayi hai….
Wahi shaam wahi tanhayee hai…
Laga jaise dar pe kisine dastak di..
Aur kaun hoga, bas meri hi parchayee hai..
Inhi parchaeeyon mein meri raahein kahi ho gayi hai…
Kambaqt yahi parchayiaan meri humsafar ho gay hai.”
Yaad
“Woh kehte hai humse, ke unhe hamari yaad nahi aati hai,
Fir kyon hamein unki palko tale seelansi nazar aati hai?
Surkh gaalope sukhe hue aasuon ki lakeerein bayaan karti hai,
Ke inhi raahon se meri yaadein baha karti hai.”
Tanhayee
“Tanhayee ki galiyaaron se gujarte hue ik baar, takra gaya zindagi se,
Toh bojhal saason ne kaha, ke ik gujaraish hai tujhse,
Ke sirf ek baar ek haseen humsafar se mil lu,
Isse pehle ke maut mere dar pe dastak de aur kahe…
“yahaa se gujar raha tha socha salaam karta chalu!!””
Hasrat
“Hasrat hai ke who meri kabr par ek aasu toh bahaye,
Hum samjhenge hum ek khushnuma zindagi jee aaye,
Umra bhar tere tassavur mein jiya kiye hum..
Marne ke baad hi sahi hum aapko yaad toh aaye..”
Shukriya!
No comments:
Post a Comment