Monday, July 4, 2011

Aaj Kal

Aaj kal...
Dhoop ho na ho...rangeen chashme pehenkar hi ghar se nikalta hoon...
baarish ho na ho.....palkon par seelan si rehti hai...
Gaal nam rehta hai.....

Aaj Kal...
Chutkula accha ho na ho....hasee nahi aati..
Tasveeron mein bhi muskurane ka man nahi karta....
Vaise bhi kharab hi nikalti hai...

Aaj kal....
Kishore da acche nahi lagte...
Unki aawaaz kuch jyaada hi khush lagti hai...
Sivaay 'Chingari koi bhadke' ke....

Aaj kal...
Rafi sahab thehre hue hai hamare yahaan...
khoob mehfilein jamti hai...main bhi jurrat kar leta hoon gaane ki unke saamne
Meri tarah padosi bhi khush nahi rehte...

Aaj Kal...
Shahrukh pe kuch jyaada hi gussa aata hai...
Pehle bhi aata tha...par tab hasi bhi toh aati thi...
Ab khud par aati hai...

Aaj Kal...
Neend badi der se aati hai....
Ceiling ko acchi tarah se jaanane-pehchaanane laga hoon...
Subah der se aankh khulne ki aadat choott gayi hai...

Aaj kal...
Waqt ka kuch pata nahi chalta...
Kab rukta hai, kab bhaagta hai...
Purani ghadi mein cell dalva liye hai...

Aaj kal....
Bahot kuch bhool jaata hoon...
kabhi batwa, kabhi rumaal...
Par yaad aa hi jaati hai..

Aaj kal...
Kisika intezaar nahi rehta...
na darwaaze par, na email par, na mobile par...
bas unse nazar nahi hatati...

Aaj kal....

No comments: