Thursday, January 12, 2012

Na-tamaam

Ek aur kavita zehen ki kitaab mein likh kar mita di
Ek aur ghazal na-tamaam reh gayi
Kavitaayein bhi kuch khaas nahi thi, shabdo ka ek mela sa tha
Mele mein mera haath chudakar jazbaat kahi ghum hue se lagte hai!

Uska hona na hona darkaar nahi ab
Akele chalne ki mujhey aadat ho gayi hai
Meri neendo ka uski yaadon se zaroor koi bair hoga
Vagarna, itni adaavat toh unko bhi mujhse nahi hai!

Kitaabon ka saath mil jata hai aaj kal
Dhero baatein hoti hai unse
Bas woh kehti hai aur main khamosh rehkar sunta hoon
Apne aap se baat karne ki naubat nahi aati!

Zindagi bhi us kitaab ki tarah hai joh kabhi likhi na gayi ho
Har ek safah khaali, tanhaa
Sirf unke palatne ki awaaz sunai de jaati hai kabhi kabhi
Aur un purane zard panno ki khusboo udti rehti hai!

Woh baatein jo tumne mujhse kabhi kahi hi nahi, unke alfaaz yaad aate hai
Par woh baatein joh maine tumse kahi thi unhe bhool gaya hoon main!!!

No comments: